Friday, 13 April 2012

My Poems

Chal Pade..

Ek hawa mien uddey,Ek zameen pe pade
Peeche chode nishaan youn hi aage bade
Chal pade,chal pade ,Ye kadam chal pade
Chal pade ye kadam chal pade.

Saalon chale kitne meelon chale
kadmonki koyi ginthi nahi.
Hum tehar jaaye jahaan
Wahan pe manzil milthi nahi.
Paaon thak ne lagi ,aankhen thak thi nahi
silsila doondh ne kha tho rukh thi nahi.
Jhao jitne kareeb,faasle uthne hi bade
chal pade ye kadam chal pade.

Mehangaayi Badgaya..

Mehangaayi ke iss zamaane mein
Chain se jeene ka maahol bigadgaya.
Thankha tho badthi nahi par
Mehangaayi zaroor badgaya.

Ek marthe mareez ke zindagi se zyaada
Haspathaal ke dhaam aur dhavaayi hai.
Karz mile bank se qishton mein bhar ne
jab chukao tho dhugna bharpaayi hai.

Baade hai building se oonche
Aur jhinse chote makaan hai.
jahaan kareedh na paaye kuch samaan
Aise bhi kahi dhukaan hai.

Bachon ka behathar bhavishya manaane
Samjautha karo apne varthamaan se.
Qataar hai lambi dhaaqilon ki
Baito na tum ithminaan se.

Tarah taraha ke khaana parose
Jab koyi hotel jhaatha hai.
Bhooke ka pet tho bhar tha nahi
Par jabe kaali ho jhaatha hai.

Kagaz ke noton se bhi halki hai iss zindagi ki keemath.
Tum ye mano ya na mano ,par hai yahi haqeeqath.


Waqt ..
Jab waqt ho meherbaan ,usse bevaje na zaaya kar
Ye chala gaya jho ek baar,phir usko na bhulaaya kar.
Woh mudke waapas kabhi phir na aayega
Jho pal hai khodhiya woh phir na paayega.
Jeele jee bharke har pal jeelein tu yaara
Phir mile ya na mile ye zindagi dobara.

Har woh beetey pal se kuch lamhe judi hai
Har choti choti baatonki yaadien badi hai.
Kuch lamhe hoton pe hasi de jaaye
Tho kuch aankhon mein nami de jaaye
Ye saare pal hai khoobsurat
Jho zindagi mein hai zaroorat.


No comments:

Post a Comment